Ay Mah-e-Ramzan Aahista Chal

Ay Mah-e-Ramzan Aahista Chal

Abhi Khaasa Qarz Chukana Hai.

Kuch Khuwab Hain Jinko Likhna Hai

Aur Tabiron Ko Pana Hai.

Kuch Log Hain Ujrre Dill Wale

Un Sab Mein Pyar Basana Hai.

Aur Khizan Rasida Aangan Mein

Ek Aman Ka Beej Lagana Hai.

Kuch Toba Karni Baqi Hai

Aur Rab Ko Humen Manana Hai.

Ay Mah-e-Ramzan Aahista Chal

Abhi Gunnahon Ka Bojh Ghata Nahi.

Abhi Qabar Ka Azab Talla Nahi

Abhi Jannat Ko Bhi Pana Hai.

Abhi Khaasa Qarz Chukana Hai

Ay Mah-e-Ramzan Aahista Chal