Suntay hain k mil jaati hay har cheez duwa se

Suntay hain k mil jaati hay har cheez duwa se 
ek roz tumhain maang k dekhengay KHUDA se 


tum saamne baithay ho to hai KAIF ki baarish 
woh din bhi thay jab AAG barasti thi ghata se 


ae DIL tu unhain dekh kar kuchh aisay tadapna 
aa jaaye HANSI un ko jo baithay hain KHAFAA se 


duniya bhi mili hai GHAM-E-DUNIYA bhi mila hai 
WOH kyon nahin miltaa jise maanga tha KHUDA se 


jab kuchh na mila haath DUWAAON ko uthaakar 
phir haath uthaane hi paray humko duwa se


aainay main WOH apni adaa dekh rahay hain 
mar jaaye k ji jaaye koi un ki BALAA se!