Safar-e-wafa ki raah maien manzil jafa ki thi

Safar-e-wafa ki raah maien manzil jafa ki thi..
Kaghaz ka ghar bna kay bhi, khawahish hwa ki thi..

Thi jugnuon kay shehr maien taroon say dushmani..
Mashooq chaand tha aur tamana subha ki thi..

Tum ne tou ibadat ka tamasha bna diya..
Chahat namaaz ki thi per aadat kaza ki thi..

Maien ne tou zindagi ko teray naam likha tha..
Shayad mager kuch aur he marzi khuda ki thi..

Dard he dena tha tou pehlay bta daitay..
Hum ko bhi azal say he tamana saza ki thi.