Wo Kagaz Ki Kashti - Wo Baarish Ka Paani - Best Ghazal

Yeh Daulat Bhi Le Lo Yeh Shaurat Bhi Le Lo
Bhale Cheen Lo Mujhse Se Meri Jawani
Magar Mujhko Lauta Do Bachpan Ka Sawan
Wo Kagaz Ki Kashti, Wo Baarish Ka Paani
Muhale Ki Sabse Purani Nishani
Wo Budhea Jise Bache Kehte The Naani
Wo Naani Ke Baaton Me Paarion Ka Dera
Wo Chehre Ki Jhuriaon Me Sadion Ka pehra
Bhulae Nahin Bhool Sakta Hai Koi
Wo Chotti Si Raaten Wo Lambi Kahani
Kaadi Dhoop Me Apne Ghar Se Nikalna
Wo Chidia Wo Bulbul Wo Titli Pakadna
Wo Guddia Ki Shaadi Pe Ladna Ghagadna
Wo Jhuloon Se Girna Wo Gir Ke Sambhalna
Wo Peetal Ke Chaalon Ke Pyare Se Tohfe
Wo Tuuti Hue Chudion Ki Nishani
Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani
Kabhi Ret Ke Oonche TilooN Pe Jana
Gharoonde Bana'na, Bana'ke Mitana
Wo Masoom Chahat Ki Tasvir Apni
Wo KhwabooN KhilaooN Ki Jageer Apni
Na Duniya Ka Gam Tha Na RishtoN Ke Bandhan
Baree Khoobsurat Thi Wo Zindagani